ad

Danka Song Lyrics | Samaaj | StarNick

Danka Song Lyrics: This rap song is sung by Nikta Sharma aka Starnick. It belongs to StarNick's new album Samaaj. As usual this song too has good smooth flow and StarNick's unique style. Do listen this song along with lyrics to enjoy more.


Danka Song Details:

Song: DANKA
Album: Samaaj
Singer: Nikta Sharma aka StarNick 
Lyrics: StarNick 


Danka Song Lyrics | Samaaj | StarNick
Danka


Danka Song Lyrics


Qki ye karta nai parda To sabne keh dia ki mard ro nahi sakta.
Qki ye kehta nai darta taaki na uth jaaye prashan uski shamta par.
Mat rona bhai mard hona tum tumpe jachti nahi  komaltaa.
Najane aansu kese utha jate mardaangi pe inki shanka.

Danka danka danka Baja danka danka danka
Mard hai agar wo to wo roh nai sakta.


Dikhti jo badi si hasi vo hasi to gum chupane ka zariya

Zimmedaari bharke jeb mai beta muskurake ghar gya

Bhookha wo izzat ka thodi mariyaada aur aadar se pet uska bhr gya

Nazar andaaz hote sare kasht inke jinke wo kehlata hai mard yahaan.


Jabse aankhen khuli tabse maa ko aas hai ki beta sambhalega
baap ka khaas kese todu wo khwaab ki beta garibi mitadega
behan choti choti kwaishi mai likha hai bhai hai mera sab diladega
Sabko sambhala pr khud k hi pairo se sapno ko apne dafna betha

parwaah karna pariwaar ki uski bani zimmedari
hara wo har kadampe pr kabhi nahi himmat hari
aurat ki jane kadar na kisi pe gandi kabi nazre daali
karte do par sekdo kal kehlaaye gaye balatkaari

ese zamane ko kya hi bolega wo uske bhi lo chuppi sadhi
bole jazbaat to kahe samaaj lo ladki samaan majboori gadi
mard ko dard nai hota abbe Kaun bola k mard ni rota
pyaar kitna milega inko nirbhar inki aaye pe hota

Qki ye karta nai parda To sabne keh dia ki mard ro nahi sakta.
Qki ye kehta nai darta taaki na uth jaaye prashan uski shamta par.
Mat rona bhai mard hona tum tumpe jachti nahi  komaltaa
Najane aansu kese utha jate mardaangi pe inki shanka.

Danka danka danka Baja danka danka danka
Mard hai agar wo to wo roh nai sakta.

Konse vedo mai likha k Mard ro ni sakda
Shuru kisne kia ki padh sakta ni tu halka
ved vyas ya tulsi das likh gaye ispe bhi kya kitaab
Rone k haq h kewal ladki k pass mard bana poore karne auro k kwaab

Mahabharat apno se ladhte waqt 
arjun k aankho mai aansu the
Shree krishna ne bola nai chup kar tu mard hai 
Di hamdardi khade sang Baaju mai

Papa mere superhero par ek dafa dekha unhe mene dard mai
8 saal ki thi tab par ab samhaj aata aansu the wo shayad farz k.

Paida se mrityu tq aansu mai lipta par
Ho majaal jo labo ne unke uff bhi kr di ho.
Ho faulaadi maan liya, toot jaate hain patthar bhi
Sakht mard aap ban bhi gaye par dil rahega makkhan hi.

Dil se kia pyaar dil se nibha ra tha pyaar khatir uske bills bharta jara tha
Chodh jaane ka kese na ho gam sab ko ab ho afsos q na aansu baha paya
ese mai maa ka pakad pallu hoja bekhauf umar se taalluk na rakh
ro le dil bhar ke, sayad bachch jaaye Sushant jesa ek maasum shaks.




Watch Video

Post a Comment

0 Comments