ad

Ektarfa Song Lyrics | King | Khwabeeda | Aakash

Ektarfa Song Lyrics: This song is from King's musical album "Khwabeeda". It is sung and written by King. Music is produced by Aakash. This song is released by King on his official YouTube channel.


Ektarfa Song Details:

Song: Ektarfa
Album: Khwabeeda
Lyrics: King
Music: Aakash
Label: King


Ektarfa Song Lyrics | King | Khwabeeda | Aakash
King


Ektarfa Song Lyrics


Tu phir se paas aa main zid nahi karunga
Tu phir se door jaa main zid nahi karunga
Jo tere jaane se main baitha hoon maikhaane mein
Main kha chuka hoon dhokha main peene se nahi marunga

Jo tujhse seekha hoon tujhi pe toh likhunga
Jo tujhpe chaahunga tujhi pe toh mitunga
Jo hans ke aaunga main phir se tere saamne
Ho na pasand bata diyo main phir nahi dikhunga

Maine dekha tujhme saadgi rahi nahi
Maine dekha tune koshishein bahut kari
Kahe jo tujhko apne haathon se saza doon
Hai kami tu pehne bahut
Phir bhi lagta kyun sazi nahi

Aaj bhi aise dekhe mene dayere nahi 
Ke tujhse baantlun 
Mein khudko kehdun aa rahe nahi
Hai tujhse milne

Bewafa hi the jo haske keh diya
Ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi
Jo firse dekha meri ruk chali kalam thi
Dil dhadakta,aankhen bheegi, baatein tang thi

Jo tujhko socha mera poora ek janam thi
Jab tujhko dekha kisi or ki sanam thi
Dil to dukhta hai par jeena padhta hi hai
Suraj se chaand bhi akele ladhta hi hai
Main kitna bhoolun kissa tera adta hi hai
Jo kardein fasla to pyaar badta hi hai 

Gaane to chal rahe par baat teri meri hai
Chirag bujh gaye par raat teri meri hai
Hua vo ek na jo sath janam ka wada tha
To iss sadi main jana kya aukat teri meri hai?

Mana main sab hi kuch jeeta kuch bhi hara na
Par jisko hara usko dekha fir dobara na
Jo dhas gaya hun jaake raet mein main aankhon tak
Tu hai samundar mujhpe boond ka sahara na

Na mujhse puch mere haal kya sitaro ka
Na dum tu kha ye aake noto ki deewaro ka
Hai paisa kya tu chhoti baatein na kiya kar
Main bss pyar se gareeb
Mujhko mol na hazaro ka

Jo mujhse puch le tu rasta baharon ka
To haske kehdu tu nazara meri aankho ka
Main jisko kosne chala hun uska naam yaad 
Fir bhi likh na pana dosh kaam hai gawaro ka

Jo tujhko dekha asma mein chand tha nahi
Kahi pe chupp gaya ke kehta lagta nahi
Isse haseen mene dekha kahi kuch ke log 
Yu hi likhte rehte mujhpe aye khuda mein chand nahi

Ye tere reshmi jo baal jaal sazi hai
Mara nahi par jeete ji tu meri fasi hai
Daba nahi gala kyu sanse meri ghut rahi
Main kya hi du saza ja teri har saza hi maafi hai

Mujhe khabar nahi tu kis zuban mein razi hai
Dikhe asar nahi tu kis dua mein baaki hai
Agar kabhi main tere samne se guzru
Mujhko mil tu ya nahi par teri ek nazar hi kaafi hai

Ektarfa main naam bhi bana lunga
Ektarfa mein naam bhi chhupa lunga
Ek arsa jo beete teri yaado mein
Main hoke mashhoor tujhpe zindagi lutadunga




Watch Video

Post a Comment

0 Comments